Friday 1 February 2013

Wo Kehti Hai Suno Jana Mohabbat Mom Ka Ghar Hai

Wo Kehti Hai Suno Jana Mohabbat Mom Ka Ghar Hai
Tapeshi Bud Gomani ki kahin pigla Na Dae Es Ko ,



maa kehta hon k jis dil ma zara be bud gomanai ho

Wahan Kuch Aur Ho To Ho Mahabbat Ho Ni sakti,


Wo Kehti Hai Sada Esy hi Kia Tum Mujh Ko Chaho Gae

K Ma Ess Ma Kami Bilkul Gawara Kar Nhi Sakti


Ma Kehta Hon Mohabbat Kia Hai Ye Tum Nay Shikya Hai

Mujhy Tum Say Mohabbat K Siwa Kuch B Nhi Ata,


Woh Kehti Hai Judai Say Boht Darta Hai Mera Dil

K Tum Say Khud Ko Hatt K Dhekna Momkin Nhi hai Ab,


Ma Kehta Hon Yehi Hadshay Boht sadatae hain

Magar Such Hai Mohabbat Ma Judai Sath Chalti Hai,


Wo Kehti Hai Bataoo Kia Mery Bin Jee Sakoo Gae tum

Meri Bataen Meri Yadaen,Meri Ankhen Bula Do Gae,


Ma Kehta Hon Kabi Es Baat Pe Socha Nhi Manay

Agr Ak Pal Ko Bhi Sochon To Sansaen Roknay Lagti Hain,

Wo Kehti Hai Tumhen Mujh Sy Mohabbat es Qadar Kiun Hai
K Ma Ak Amm Si Larki Tumhen Kin Khas Lagti hon,

Kabi Khud Ko Meri Ankhon Say Tum Dheko
Meri Dewangi Kia ha Ye Tum Khud Hi Jan Jaoo Gi,

Wo Kehti Hai Mujhy Ba-Raftagi Say Dhekte Kuin Ho
K Ma Khud Ko Boht kemti Mahsos Karti Hon,

Ma kehta Hon Mata-e-Jan Boht Anmol Hoti Hai
Tumhen Jab Dhekta Hon Zindagi Mahsos Karta Hon,

Woh Kehti Hai Mujhy Alfaz K Jugnoo Ni Milty
Tumhen bata Sakoon K Mery Dil Ma Kitni Mohabbat Hai,

Ma Kehta Hon Mohabbat Tou Nigahoon Say Jalakti Hai 
Tumhari Khamoshi Mujh Sy Tumhari Baat Karti hai,

Wo kehti Hai Baatao na Kisay Khonay Say Darte Hoo
Bataoo Woh Kon Hai Jesy Yeh Mosaam Bolatte Hain,

Ma Kehta Hon Yeh Meri Shayri Hai Ayna Dil Ka
Zara Dheko  Battaoo Kia TUmhen Es Ma Nazar Aya,

Wo Kehti Hai Mqm G Boht Bateen Banate Hoo
Magar sach Hai K yeh Bateen Boht Hi Shadd Rakhti Hain,

 Ma Kehta Hon Yeh Sub BateeN FasAny Yeh Sub Bahana Hai
k Pal Kuch Zindagi K Tumhary Sath Cut Jayen,

Phir Us k bad Khamoshi Ka Dil KHush Rksh Hota Hai 
Negaheen Bolti Han Aur Lab Khamosh Rahte hain,








No comments:

Post a Comment